Ramdev ji ka bartaav kafi prasanshneeya tha . Yah ek kadwi sacchai h jo Ramdev ji poorn roop se khol rahe h. Par mujhe lagta hai ki agar Ramdev ji aur Anna ji ka maksad ek hi tha tab Ramdev ji ko unse alag hone ki kya aa padi? ji haan saath mein main yah b kehna chahti hoon ki ramleela maidan mein hui giraftariyan aur hangama sarkar ki kamzori dikhata h.. kya yeh angrezon k sashan se accha h? aadhi raat mein soti hui nihathi janta par akraman karna kahan ki sabhyata ka pradarshan karta h? yeh Bhartiya sanskar to nahi h. Itni patit harkaton k bavjood hamari sarkar seena taan kar khadi h. kya yeh dukhdayi nahi h ki us vyakti par jo videshon mein jama kala dhan wapas lane k liye athak prayak kar raha h uspar sarkar ki laathiyan chal rahi h. antatah main sirf yeh kehna chahongi ki randev ji poorn roop se sahi h par kahin na kahin unke bheetar na keval brashtachaar ki cheed h par shayad unhe congress se b chid hi h. par ramdev ji ka sangarsh sarhneeya h. dhanyawaad. jai hind jai bharat.